Album Title: Teri Hee Parchhayian
Album Artist: Shankar Mahadevan
Music by: Ashish Mujumdar
Lyrics by: Dr. Inderjit Nirdosh
Year: August 2011
Genre: Ghazal
Music Label: Times Music
03- Nahin Mehboob Pehelu Mein
Singer: Shankar Mahadevan
Duration: 07:47
nahi mehboob pehlu mein to be-ma'ani hain barsaatain (x2)
bagher un ke andheri hain...
bagher un ke andheri hain hamaari chaandni raatain
nahi mehboob pehlu mein to be-ma'ani hain barsaatain
nigaahain aaj bhi meri sitaaron mein numaayaan hain (x2)
...sitaaron mein numaayaan hain
tumhaari justuju mein...
tumhaari justuju mein jaag li hain sainkron raatain (x2)
bagher un ke andheri hain hamaari chaandni raatain
nahi mehboob pehlu mein to be-ma'ani hain barsaatain
bohot mujh ko rulaate hain...
bohot mujh ko rulaate hain tere aansu, teri aahain (x2)
...tere aansu, teri aahain
bhulaa de mujh ko...
bhulaa de mujh ko aur deewaangi ki meri sab baatain (x2)
bagher un ke andheri hain hamaari chaandni raatain
nahi mehboob pehlu mein to be-ma'ani hain barsaatain
gulon se soorat-e-shabnam lipat jaeyn mere aansu (x2)
...lipat jaeyn mere aansu
na tum laaya karo...
na tum laaya karo meri lehed par aisi saughaatain (x2)
nahi Nirdosh qismat mein...
nahi Nirdosh qismat mein noorani vasl ke lamhe (x2)
...noorani vasl ke lamhe
muqaddar hain tumhaara...
muqaddar hai tumhaara hijr ki kaali seyah raatain (x2)
bagher un ke andheri hain hamaari chaandni raatain
nahi mehboob pehlu mein to be-ma'ani hain barsaatain
Back to Teri Hee Parchhayian (2011) Soundtracks Lyrics Page
