Tere Naam - Chand Lyrics

Movie: Tere Naam
Year: 2003
IMDB: http://www.imdb.com/title/tt0374271/
Music: Himesh Reshammiya
Lyrics: Sameer
Singer(s): Udit Narayan

01- Chand

taubah yeh saadgi, chehre pe taazgi, yeh baat us mein kahaan (x2)
us chaand ka muqaabla kya hoga is chaand ke aage
yeh saari raat jagaey hamain woh bechara saari raat jaage

(tere naam zindagi... tere naam zindagi)

ham yeh sochte the koi aisa nahi jo banaey deewana yun ham ko kabhi (x2)
lekin yeh ho gaya, paagal dil kho gaya, aisa koi bhi na yahaan
us chaand ka muqaabla kya hoga is chaand ke aage

(tere naam zindagi... tere naam zindagi)

kya hai beqaraari, kya hai deewangi, koi pooche zara ham se, kya hai aashiqi (x2)
har pal woh paas hai, woh sab se khaas hai, aisa koi doosra kahaan
us chaand ka muqaabla kya hoga is chaand ke aage
yeh saari raat jagaey hamain woh bechara saari raat jaage

taubah yeh saadgi, chehre pe taazgi, yeh baat us mein kahaan (x2)

Get lyrics of all songs from the movie "Tere Naam" (2003).